Monday, 3 September 2012

Shero Shayari- part 2






Dil , Jigar, zameer sab apka hai
Jaane phir bhi kyon yeh dil kisi ko talashta hai
Jaan jaye jo iss dil ki talash ko
Aye khuda tune banaya hi nahi aise kisi jazbaat ko


Subah hoti hai ,sham hoti hai
Zindagi yuhi tamam hoti hai
Kash kuch aisa hota ki
Subah ho ya sham ho bas zindagi tumhare naam ho,
Chahte aisa hi khwab boti hai


Tum hi zindagi ho,tum hi bandagi ho
Iss zindagi mae na ab tumhari kami ho
Jag se itni khushiya le aau,
Ki in aankhon mae na tumahri kabhi bhi nami ho

Sunday, 2 September 2012

Shero Shayari





Makhmali sa roop unka aankho mae utar gaya
Makhmali wo roop unka dil mae bhi utar gaya
Chune ki chaha thi wo makhmali roop
Par kya kare chute hi kambakht haath fisal gaya…



Zubaan se nikli hui baat ka bura mat maniye
Zubaan se nikli hui baat ka bura mat maniye
Dil cheer ke toh dekhiye aur khudko “ Subhan Ala” janiye



Darta hai dil,magar hum darpok nahi
Duniya hai kafa , hum khamosh sahi
Unka saath jo hume mil jaye
Fir jaan bhi alwida kehde hume afsos nahi



Jaan jaye par gyaan na jaaye
Aisa teri baat sikhae
Baba jo bhi tere dar par aye
Wo khali haath kabhi na jaye